yahāñ ho rahīñ haiñ vahāñ ho rahīñ haiñ
nihāñ thiiñ jo bāteñ ayaañ ho rahīñ haiñ
irāde hamāre duā.eñ tumhārī
havā.eñ hī ḳhud bādbāñ ho rahīñ haiñ
luTā.ī kisī ne javānī vatan pe
dishā.eñ bhī shahnā.iyāñ ho rahīñ haiñ
ka.ī āsmāñ aa gire haiñ zamīñ par
zamīneñ ka.ī āsmāñ ho rahīñ haiñ
raqīboñ talak kaise pahuñchī vo bāteñ
jo tere mire darmiyāñ ho rahīñ haiñ
koī phuul devī ke charnoñ tak aayā
kahīñ muntashir pattiyāñ ho rahīñ haiñ