guloñ kī gar ināyat ho ga.ī to
unheñ ham se mohabbat ho ga.ī to
hameñ kyuuñ sauñptā hai daulat-e-husn
amānat meñ ḳhayānat ho ga.ī to
kisī kī bekasī pe hañsne vaale
tirī bhī aisī hālat ho ga.ī to
mujhe tū mujh se baḌh kar chāhtā hai
mirī ḳhud se adāvat ho ga.ī to
na lag hoñThoñ se cigarette kī tarah tū
agar mujh ko tirī lat ho ga.ī to
tū ḳhud ko bad-duā detā hai aksar
ḳhudā ke ghar samā.at ho ga.ī to