apne hamrāh mohabbat ke havāle rakhnā
kitnā dushvār hai ik rog ko paale rakhnā
itnā āsān nahīñ band galī meñ rahnā
shahr-e-tārīk meñ yādoñ ke ujāle rakhnā
ham ziyāda ke talabgār nahīñ haiñ lekin
vaqt kuchh bahr-e-mulāqāt nikāle rakhnā
baat kar leñge judā.ī pe kahīñ ba.ad meñ ham
apne hoñToñ pe sar-e-bazm to taale rakhnā
kaam ā.eñge kisī roz tumhāre ye guhar
apne ashkoñ ko mirī jaan sambhāle rakhnā
jhiil par jaise koī kaalī ghaTā chhā jaa.e
niilī āñkhoñ pe ghanī palkoñ ko Daale rakhnā
us ko ujḌe hue logoñ se hai ulfat 'shāhid'
baal bikhrā.e hue paañv meñ chhāle rakhnā