muztarib sā rahtā hai mujh se baat karte vaqt
pher kar kalā.ī ko baar baar dekhe vaqt
bārhā ye sochā hai ghar se aaj chalte vaqt
hādisa na ho jaa.e raah se guzarte vaqt
koī bhī nahīñ pahuñchā aag se bachāne ko
maiñ thā aur tanhā.ī apne ghar meñ jalte vaqt
is qadar añdherā thā is qadar thā sannāTā
chāñdnī bhī Dartī thī gaañv meñ bikharte vaqt
maiñ to ḳhair nādim thā is liye bhī chup chup thā
vo bhī kuchh nahīñ bolā rāsta badalte vaqt
vo visāl do pal kā bhūltā nahīñ shāhid
maiñ ne us ko chūmā thā sīḌhiyāñ utarte vaqt