koī bach nahīñ paatā aisā jaal bunte haiñ
kaise kaise qisse ye māh-o-sāl bunte haiñ
jaane kitnī sadiyoñ se har baras ḳhizāñ-rut meñ
ḳhushk patte dhartī par zard shaal bunte haiñ
aaj kal na jaane kyuuñ zehn par tanāv hai
TūT-phūT jaatā hai jo ḳhayāl bunte haiñ
shahr vaale pochheñge kuchh sabab jaddā.ī kā
ghar ke ḳhālī kone bhī kuchh savāl bunte haiñ
hijr ke manāzir ko bhūlnā hī behtar hai
pyaar kī tanāboñ se phir visāl bunte haiñ
halqa-e-mohabbat meñ jo nazīr ban jaa.e
aao ham vafāoñ kī vo misāl bunte haiñ
ab purānī bātoñ ko kyā kurednā 'shāhid'
bhuul kar guzashta ko apnā haal bunte haiñ