Ghulam Murtaza Rahi

zamin ke baad hum ab aasman na rakkhenge

Ghulam Murtaza Rahi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1937
zamīñ ke ba.ad ham ab āsmāñ na rakkheñge
ḳhalā rahegā qadam ham jahāñ na rakkheñge
javāb denā paḌegā hameñ ḳhamoshī kā
so tai kiyā hai ki muñh meñ zabāñ na rakkheñge
kahīñ izāfa kahīñ hazf to kahīñ tarmīm
kahīñ kī ab vo mirī dāstāñ na rakheñge
tule haiñ haath jo virse pe saaf karne par
kisī bhī daur kā baaqī nishāñ na rakkheñge
batā rahe haiñ ham ehsāñ jatāne vāloñ ko
jo sar pe bojh ho vo sā.ebāñ na rakkheñge
numū ke vāste koshāñ haiñ is yaqīn ke saath
baḌe hue to ham is kā gumāñ na rakkheñge
agar ho vaj.h-e-ta.alluq to ham se duur raho
koī bhī fāsla ham darmiyāñ na rakkheñge
jab apne ghar meñ hī apnī anā ko ḳhatra hai
ham apne paas ye jins-e-girāñ na rakkheñge
kisī ne maarā hai shab-ḳhūn aisā raahī par
ki ab vo sub.h talak tan meñ jaañ na rakkheñge
Top Urdushayar.com