Thahar Thahar ke mirā intizār kartā chal
ye saḳht-rāh bhī ab iḳhtiyār kartā chal
safar kī raat hai har gaam ehtiyāt barat
palaT palaT ke añdheroñ pe vaar kartā chal
liye jā kaam tū apnī firāḳh-dastī se
qadam qadam pe mujhe zer-e-bār kartā chal
idhar udhar jo khaḌe ho ga.e haiñ tere liye
unheñ bhī apne safar meñ shumār kartā chal
kisī Thikāne pe tujh ko agar pahuñchnā hai
to naqsh-e-pā kā mire e'tibār kartā chal
na khīñch dasht o jabal bahr o bar se qadmoñ ko
ye sab rukāvaTeñ haiñ in ko paar kartā chal