Ghulam Murtaza Rahi

shakl sahra ki hamesha jaani-pahchani rahe

Ghulam Murtaza Rahi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1937
shakl sahrā kī hamesha jānī-pahchānī rahe
mere aage pīchhe daa.eñ baa.eñ vīrānī rahe
saarī samteñ aa ke jis markaz pe ho jaatī haiñ ek
ḳham usī jānib hamesha merī peshānī rahe
aage aage maiñ tirā parcham liye chaltā rahūñ
arz-e-dil par mere qaa.em terī sultānī rahe
raushnī ko ho mirī aisā koī māḳhaz atā
zarra-e-nāchīz meñ din raat tābānī rahe
neza-o-shamshīr-o-ḳhanjar kī agar ifrāt hai
ḳhuun kī bhī merī rag rag meñ farāvānī rahe
merī kashtī ko Dubo kar chain se baiThe na tū
ai mire dariyā! hamesha tujh meñ tuġhyānī rahe
ab tajāvuz ban gayā ma.amūl varna muddatoñ
apnī apnī had meñ shahrī aur bayābānī rahe
Top Urdushayar.com