Ghulam Murtaza Rahi

sada wo deta bhi hoga to kya KHabar mujhko

Ghulam Murtaza Rahi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1937
sadā vo detā bhī hogā to kyā ḳhabar mujh ko
jo sunñe de ye mashīnoñ kā shor-o-shar mujh ko
ajiib dasht huuñ maiñ bhī ki ek ik zarra
uḌaa.e phirtā hai muddat se dar-ba-dar mujh ko
har ik se pūchhtā phirtā hai merā nām-o-nishāñ
guzar gayā thā kabhī sahal jaan kar mujh ko
havā vo duur se detā hai apne dāman ko
qarīb aatā nahīñ jaan kar sharar mujh ko
maiñ apne qatl kā ilzām kisī ko duuñ 'rāhī'
milā hai apnā hī dāman lahū meñ tar mujh ko
Top Urdushayar.com