nāyāb chiiz kaun sī bāzār meñ nahīñ
lekin maiñ un ke chand ḳharīdār meñ nahīñ
chhū kar bulandiyoñ ko palaTnā hai ab mujhe
khāne ko mere ghaas bhī kohsār meñ nahīñ
aatā thā jis ko dekh ke tasvīr kā ḳhayāl
ab to vo kiil bhī mirī dīvār meñ nahīñ
irfān-o-āgahī kī ye ham kis havā meñ haiñ
jumbish tak us ke parda-e-asrār meñ nahīñ
uglā sā mujh meñ shauq-e-shahādat nahīñ agar
pahlī sī kaaT bhī tirī talvār meñ nahīñ