Ghulam Murtaza Rahi

kahin kahin se pur-asrar ho liya jae

Ghulam Murtaza Rahi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1937
kahīñ kahīñ se pur-asrār ho liyā jaa.e
ki apne haq meñ bhī hamvār ho liyā jaa.e
vo jis ne zaḳhm lagā.e rakhegā marham bhī
usī kā dil se taraf-dār ho liyā jaa.e
yahī hai niind kā manshā ki ḳhvāb-e-ġhaflat se
sahīh vaqt pe bedār ho liyā jaa.e
girah-kushā.i-e-mauj-e-nafas bahāna hai
ki is bahāne se us paar ho liyā jaa.e
kisī kī raah meñ aane kī ye bhī sūrat hai
ki saaya ke liye dīvār ho liyā jaa.e
Top Urdushayar.com