Ghulam Murtaza Rahi

wahi sahil wahi manjdhaar mujhko

Ghulam Murtaza Rahi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1937
vahī sāhil vahī mañjdhār mujh ko
banāyā us ne khevan-hār mujh ko
zabāñ kī dhaar se dekhā milā kar
lagī kuchh tez kam talvār mujh ko
biThā rakkhā mujhe saa.e meñ jis ne
girānī thī vahī dīvār mujh ko
jinheñ hai naaz apne fāsloñ par
pakaḌne deñ zarā raftār mujh ko
kabhī hotī na phir laḌne kī himmat
milī ab tak na aisī haar mujh ko
kisī ne bhej kar kāġhaz kī kashtī
bulāyā hai samundar paar mujh ko
kabhī Duubī na terī naav 'rāhī'
sikhāyā tairnā be-kār mujh ko
Top Urdushayar.com