Ghulam Murtaza Rahi

barq ka Thik agar nishana ho

Ghulam Murtaza Rahi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1937
barq kā Thiik agar nishāna ho
band kaahe ko kārḳhāna ho
dekhne sunñe kā maza jab hai
kuchh haqīqat ho kuchh fasāna ho
maut har vaqt aanā chāhtī hai
koī hiila koī bahāna ho
raah se sañg-o-ḳhisht haT jaa.eñ
nekiyoñ kā agar zamāna ho
mujh ko ḳhvāb-o-ḳhayāl hai manzil
qāfila shauq se ravāna ho
kyā ta.ajjub ki pīchhe pīchhe mire
aane vaalā mirā zamāna ho
Top Urdushayar.com