mirī sifāt kā jab us ne e'tirāf kiyā
bajā.e chehra ke ā.īna maiñ ne saaf kiyā
chhupā thā hiirā koī rāste ke patthar meñ
hamārī Thokaroñ ne is kā inkishāf kiyā
muvāfaqat meñ chalī thī mire safīne kī
havā ne biich samundar meñ iḳhtilāf kiyā
guhar banā ke sadaf ne use nikālā hai
kabhī jo buuñd ne dariyā se inhirāf kiyā
zamīn ghūmtī hai jaise apne mehvar par
ḳhud apnī zaat kā maiñ ne yuuñ hī tavāf kiyā