haiñ aur ka.ī ret ke tūfāñ mire aage
phailegā abhī aur bayābāñ mire aage
bāhar nahīñ koī bhī mirī had-e-nazar se
maḳhfī hai koī koī numāyāñ mire aage
hastī mirī sahrā hai sarāb us kā muqaddar
āḳhir use honā hai pashemāñ mire aage
huuñ miil ke patthar kī tarah rāhguzar meñ
manzil pe nazar rakhte haiñ insāñ mire aage
tai ho na sakī dūri-e-manzil ye alag hai
har moḌ pe raushan rahā imkāñ mire aage
kāñdhe pe mire bojh rahā raḳht-e-safar kā
yuuñ niklā kiye be-sar-o-sāmāñ mire aage
jo sulh-o-safā.ī meñ haiñ pīchhe abhī 'rāhī'
rahte haiñ baham dast-o-garebāñ mire aage