Ghulam Murtaza Rahi

meri giraft mein hai taer-e-KHayal mera

Ghulam Murtaza Rahi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1937
mirī giraft meñ hai tā.er-e-ḳhayāl mirā
magar uḌaa.e liye jā rahā hai jaal mirā
yaqīn itnā nahīñ merā jitnā nabz kā hai
mirī zabān se suntā nahīñ vo haal mirā
kamāl kī vo imārat mirī huī mismār
khañDar kī shakl meñ baaqī rahā zavāl mirā
fazā meñ jhoñk de āñdhī ke baad paanī bhī
uḌaa.ī ḳhaak to ab ḳhuun bhī uchhāl mirā
zabān apnī badalne pe koī raazī nahīñ
vahī javāb hai us kā vahī savāl mirā
maiñ sar kiye hue baiThā huuñ ik na.ī choTī
kuchh aur fāsle se dekh ab kamāl mirā
Top Urdushayar.com