Ghulam Murtaza Rahi

chhat pe badli jhuki si rahti hai

Ghulam Murtaza Rahi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1937
chhat pe badlī jhukī sī rahtī hai
kab se bārish thamī sī rahtī hai
koī shab dhuup kī sī kaifiyyat
koī din chāñdnī sī rahtī hai
ek hastī mirī anāsir chaar
har taraf se ghirī sī rahtī hai
kaise jī-bhar ke dekhiye us ko
dekhne meñ kamī sī rahtī hai
koī ik zā.iqa nahīñ miltā
ġham meñ shāmil ḳhushī sī rahtī hai
jab se maa.il hue haiñ mere qadam
raah mujh se khiñchī sī rahtī hai
ik na ik shaġhl chāhiye us ko
mujh meñ dīvāngī sī rahtī hai
tiir añdhere meñ jab chalātā huuñ
dhyān meñ raushnī sī rahtī hai
shāḳh-e-ummīd ko ḳhizāñ na bahār
ye sab din harī sī rahtī hai
ek ḳhitte ke bojh se raahī
saarī duniyā dabī sī rahtī hai
Top Urdushayar.com