Ghulam Murtaza Rahi

jhalakti hai meri aankhon mein bedari si koi

Ghulam Murtaza Rahi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1937
jhalaktī hai mirī āñkhoñ meñ bedārī sī koī
dabī hai jaise ḳhākistar meñ chiñgārī sī koī
taḌaptā tilmilātā rahtā huuñ dariyā kī mānind
paḌī hai zarb ehsāsāt par kaarī sī koī
na jaane qaid meñ huuñ yā hifāzat meñ kisī kī
khiñchī hai har taraf ik chaar dīvārī sī koī
kisī bhī moḌ se merā guzar mushkil nahīñ hai
mire pairoñ tale rahtī hai hamvārī sī koī
gumāñ hone lagā jab se mujhe qad-āvarī kā
chalā kartī hai mere paañv par aarī sī koī
kisī mahfil kisī tanhā.ī meñ ruknā hai mushkil
mujhe khīñche liye jaatī hai be-zārī sī koī
Top Urdushayar.com