Ghulam Murtaza Rahi

ubal paDa yak-ba-yak samundar to maine dekha

Ghulam Murtaza Rahi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1937
ubal paḌā yak-ba-yak samundar to maiñ ne dekhā
khulā jo rāz-e-sukūt lab par to maiñ ne dekhā
utar gayā rañg-e-rū-e-manzar to maiñ ne dekhā
haTī nigāh-e-bahār yaksar to maiñ ne dekhā
na jaane kab se vo andar andar sulag rahā thā
milā jo dīvār meñ mujhe dar to maiñ ne dekhā
tamām gard-o-ġhubār dil se nikal chukā thā
baras chukā abr-e-ashk khul kar to maiñ ne dekhā
nishān qadmoñ ke rāste meñ chamak rahe the
guzar gayā vo nazar bachā kar to maiñ ne dekhā
milā ke miTTī meñ rakh dī us ne ibādat us kī
jo mere aage na ḳham kiyā sar to maiñ ne dekhā
Top Urdushayar.com