rakhtā nahīñ hai dasht sarokār aab se
bahlā.e jaate haiñ yahāñ pyāse sarāb se
din meñ bhī ghar ujāle se mahrūm hai to hai
kirnoñ kā kyā savāl karūñ āftāb se
bilkul durust hote hue fail ho gayā
maiñ ne javāb naql kiyā thā kitāb se
vo saal ho ki maah ho din ho ki ho ghaḌī
baaqī nahīñ bachūñgā kisī ke hisāb se
har shai par ik uchaTtī nazar Dāltā chalūñ
be-kār hogā merā utarnā rikāb se
tarmīm hazf aur izāfe ke saath saath
ye kulliyāt pur hai mire intiḳhāb se