ta.abīroñ se band qabā-e-ḳhvāb khule
mujh par mere mustaqbil ke baab khule
jis ke hāthoñ bādbān kā zor bañdhā
usī huā ke nāḳhun se girdāb khule
us ne jab darvāza mujh par band kiyā
mujh par us kī mahfil ke ādāb khule
rahī hamesha gahrā.ī par mirī nazar
bhed samundar ke sab zer-e-āb khule
dil ke sivā vo aur kahīñ rahtā hai agar
koī to darvāza dar-e-mehrāb khule