Ghulam Murtaza Rahi

baat baDhti gai aage meri nadani se

Ghulam Murtaza Rahi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1937
baat baḌhtī ga.ī aage mirī nādānī se
kitnā arzāñ huā maiñ apnī farāvānī se
ḳhaak hī ḳhaak nazar aa.ī mujhe chāroñ taraf
jal ga.e chāñd sitāre mirī tābānī se
be-tahāsha jiye ham log hameñ hosh nahīñ
vaqt ārām se guzrā ki pareshānī se
ab mire gird Thahartī nahīñ dīvār koī
bandisheñ haar ga.iiñ be-sar-o-sāmānī se
aa.egā aisā bhī ik moḌ safar meñ 'rāhī'
gard bhī merī na pāoge tum āsānī se
Top Urdushayar.com