Ghulam Murtaza Rahi

nahin hai bahr-o-bar mein aisa mere yar koi

Ghulam Murtaza Rahi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1937
nahīñ hai bahr-o-bar meñ aisā mere yaar koī
ki jis ḳhitte kā miltā ho na da.avedār koī
yūñhī buniyād kā darja nahīñ miltā kisī ko
khaḌī kī jā.egī mujh par abhī dīvār koī
patā chalne nahīñ detā kabhī fariyādiyoñ ko
lagā kar baiTh jaatā hai kahīñ darbār koī
nigāheñ us ke chehre se nahīñ haTtīñ jo dekhūñ
ki hai us ke gale meñ besh-qīmat haar koī
bachātā phirtā huuñ dariyā meñ apnī kashtī-e-jāñ
kabhī is paar hai koī bhī us paar koī
usī kā qahr barpā hai usī kā faiz jaarī
har ik majbūr kā hai mālik-o-muḳhtār koī
kahlvāyā hai us ne phāñd kar dīvār aa jaanā
agar darvāze par baiThā ho pahre-dār koī
Top Urdushayar.com