baḌhā jab us kī tavajjoh kā silsila kuchh aur
ḳhushī se phail gayā ġham kā dā.era kuchh aur
natīja dekh ke maanā mire masīhā ne
kuchh aur dard thā merā huī davā kuchh aur
maiñ apne aap ko kis ā.īne meñ pahchānūñ
ki ek aks mirā kuchh hai dūsrā kuchh aur
agar kahīñ koī dīvār sāmne aa.ī
buland ho gayā paanī kā hausla kuchh aur
kuchh aise dekhtā hai vo mujhe ki lagtā hai
dikhā rahā hai mujhe merā aa.ina kuchh aur
natīja dekhne sunñe ke ba.ad ye niklā
bayān-e-vāqi.a kuchh amr-e-vāqi.a kuchh aur
guzar muhāl na hotā hamārā bastī meñ
jo uThtīñ chhoḌ ke dīvāreñ rāsta kuchh aur