Suroor Jahanabadi

shab-e-visal maza de rahi hai tu teri

Suroor Jahanabadi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1873-1910
shab-e-visāl mazā de rahī hai 'tuu' terī
laboñ se gholtī hai qand guftugū terī
tirī zabāñ ko bigāḌā raqīb-e-bad-ḳhū ne
ki baat baat meñ gaalī to thī na ḳhū terī
lagā rahā hai hinā kaun tere hāthoñ meñ
rulā rahī hai mujhe ḳhuun aarzū terī
tire sukūt meñ bhī ik adā nikaltī hai
ki hai chhupī huī parde meñ guftugū terī
na chaak kar dil-e-be-tāb ko mire zālim
nikal ke ho kahīñ rusvā na aarzū terī
kabhī hai qasd haram kā kabhī hai azm-e-kunisht
kashāñ kashāñ liye phirtī hai aarzū terī
Top Urdushayar.com