Suroor Jahanabadi

kisi mast-e-KHwab ka hai abas intizar so ja

Suroor Jahanabadi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1873-1910
kisī mast-e-ḳhvāb kā hai abas intizār so jā
ki guzar ga.ī shab aadhī dil-e-be-qarār so jā
ye nasīm ThanDī ThanDī ye havā ke sard jhoñke
tujhe de rahe haiñ lorī mire ġham-gusār so jā
ye tirī sadā-e-nāla mujhe muttahim na kar de
mire parda-dār so jā mire rāz-dār so jā
mujhe ḳhuuñ rulā rahā hai tirā dam-ba-dam taḌapnā
tire ġham meñ aah kab se maiñ huuñ ashk-bār so jā
abhī dhān-pān hai to nahīñ āshiqī ke qābil
ye tapish kā aah sheva na kar iḳhtiyār so jā
na taḌap zamīñ pe zālim tujhe god meñ uThā luuñ
tujhe siine se lagā luuñ tujhe kar luuñ pyaar so jā
tujhe jin kā hai tasavvur are mast-e-jām-e-ulfat
unhīñ añkhḌiyoñ ke sadqe mire bāda-ḳhvār so jā
tujhe pahlā sābiqa hai shab-e-ġham burī balā hai
kahīñ mar-miTe na zālim dil-e-be-qarār so jā
Top Urdushayar.com