Arshad Kathvi

bhulaun lakh main aata hai lekin yaad rah rah kar

Arshad Kathvi

bhulā.ūñ laakh maiñ aatā hai lekin yaad rah rah kar
vo aanā mausam-e-gul kā vo jaanā merā gulshan se
nashāt-o-aish hāsil thā chaman ke rahne vaale the
ye kyā ma.alūm thā nisbat qafas ko bhī hai gulshan se
azāb-e-jāñ qafas kī tañgiyāñ phir us pe ye turra
havāoñ par havā.eñ aa rahī haiñ sehn-e-gulshan se
yahī to hāsil-e-hastī hai tum par miTne vaale kā
judā kyuuñ ḳhāk-e-dāman-gīr ko karte ho dāman se
vahī 'arshad' tumhārā huuñ jise kāñdhoñ pe laa.e the
guzarne vaalo bach bach kar na niklo mere madfan se
Top Urdushayar.com