ab kyā mileñ hasīnoñ se ham gosha-gīr haiñ
ġhārat-garoñ ne luuT liyā hai faqīr haiñ
ḳhāliq bachā.e zohra-jabīnoñ kī chaah se
sunte haiñ do farishte abhī tak asiir haiñ
chaar āñkheñ ham ne kī to haiñ ġhussa na kījiye
saa.il nahīñ faqīr nahīñ rāhgīr haiñ
dar par tumhāre baiThe haiñ sar par hai āftāb
ham ḳhāksār mālik-e-tāj-o-sarīr haiñ
vo bhī to ro.eñ ai asar-e-giryā ek din
jin kī nigāh meñ mire aañsū haqīr haiñ
kah deñge saaf saaf vo dekheñ to aa.ina
ye maañg hai lakīr ham is par faqīr haiñ
nazroñ se kyā girā.eñge 'tāhir' adū mujhe
fazl-e-ḳhudā se dast-e-ḳhudā dast-gīr haiñ