lagā ki jaise kisī kāñpte hiran ko chhuā
hamāre hāthoñ ne jab phuul se badan ko chhuā
tamām jism meñ āsūdgī sī phail ga.ī
tire dahan ne kabhī jab mire dahan ko chhuā
simaT ke aa ga.ī kāġhaz pe sūrat-e-ash.ār
hamārī fikr ne jab bhī kisī ghuTan ko chhuā
ka.ī maqām pe donoñ mile zarūr magar
kishan ne rādhā ko rādhā ne kab kishan ko chhuā
lipaT ke pahuñchā maiñ jab nekiyoñ kī ḳhushbū meñ
lahad kī miTTī ne Darte hue kafan ko chhuā
kabhī na ho sakī iz.hār-e-ishq kī jur.at
ye aur baat ka.ī sūratoñ ne man ko chhuā
ham apnī jaan bhī kar deñge 'faiz' us pe nisār
agar kisī ne kabhī azmat-e-vatan ko chhuā