Faiz Khalilabadi

tamam-duniya ka laKHt-e-jigar bana hua tha

Faiz Khalilabadi

Sant Kabir Nagar, Uttar pradesh, India

1980
tamām-duniyā kā laḳht-e-jigar banā huā thā
vo aadmī jo mirā dard-e-sar banā huā thā
use talāsh rahī haiñ mirī udaas āñkheñ
jo ḳhvāb raat ke pichhle pahar banā huā thā
pahuñch ke kūcha-e-jānāñ meñ aa gayā bāhar
mire vajūd ke andar jo Dar banā huā thā
kamāl-e-ishq ne mere kiyā hai zer use
kisī kā husn jo kal tak zabar banā huā thā
utartī kaise sukūñ kī vahāñ koī chiḌiyā
mahal jo hirs kī buniyād par banā huā thā
banā diyā use insān terī qurbat ne
tire firāq meñ jo jānvar banā huā thā
ye us kā shauq nahīñ us kī inkisārī thī
vasī.a ho ke bhī jo muḳhtasar banā huā thā
pahuñch gayā hai javānī se ab buḌhāpe tak
vo ek dukh jo sharīk-e-safar banā huā thā
havas ke chaak kī miTTī javān thī jab tak
tamām-shahr yahāñ kūza-gar banā huā thā
vo jāntā thā mire an-kahe dukhoñ kā ilaaj
magar vo 'faiz'-miyāñ be-ḳhabar banā huā thā
Top Urdushayar.com