Faiz Khalilabadi

tamam husn-o-maani ka rang uDne laga

Faiz Khalilabadi

Sant Kabir Nagar, Uttar pradesh, India

1980
tamām husn-o-ma.ānī kā rañg uḌne lagā
khilī jo dhuup to paanī kā rañg uḌne lagā
ishārā kartī haiñ chehre kī jhurriyāñ chup-chāp
to kyā badan se javānī kā rañg uḌne lagā
jadīd rañg meñ aayā jo misra-e-ūlā
hasad se misra-e-sānī kā rañg uḌne lagā
kitāb-e-zīst ke mafhūm ko samajhte hī
yahāñ baḌe baḌe gyānī kā rañg uḌne lagā
jo dā.imī thā vahī rah gayā hai zehnoñ meñ
jo aarzī thā kahānī kā rañg uḌne lagā
mirī nazar se milī 'faiz' jab nazar us kī
to mere dushman-e-jānī kā rañg uḌne lagā
Top Urdushayar.com