bhañg khāte haiñ na gāñjā na charas piite haiñ
ham vo bhañvare haiñ jo ehsās kā ras piite haiñ
aap is Dhañg se amrit bhī nahīñ pī sakte
jis hunar-mandī se ham ashk-e-nafas piite haiñ
sab yahīñ chhoḌ ke jaanā hai ḳhabar hai lekin
phir ye ham kis liye duniyā kī havas piite haiñ
jo tirī yaad ke kiiḌe haiñ badan ke andar
vo mirī ruuh ko khāte haiñ plus piite haiñ
tab kahīñ hotā hai ik shahd kā chhattā tayyār
an-ginat phūloñ kā ḳhuuñ jab ye magas piite haiñ
aap ik buuñd bhī pī leñ to ġhashī aa jaa.e
ġham ke aañsū jo asīrān-e-qafas piite haiñ
'faiz' kī fikr kī botal meñ hai jo zahr-e-suḳhan
dekhnā hai kī abhī kitne baras piite haiñ