Faiz Khalilabadi

le ke is ghaT se us ghaT gai mera wajud

Faiz Khalilabadi

Sant Kabir Nagar, Uttar pradesh, India

1980
le ke is ghaaT se us ghaaT ga.ī merā vajūd
fikr dīmak kī tarah chaaT ga.ī merā vajūd
merī barbādī meñ ik shāḳh bhī shāmil thī mirī
ḳhud kulhāḌī to nahīñ kaaT ga.ī merā vajūd
apne me.aar kā bhī daam na mil paayā mujhe
zindagī le ke ka.ī haaT ga.ī merā vajūd
maiñ sikandar thā magar āḳhirī manzil kī taraf
le ke ik TuuTī huī khaaT ga.ī merā vajūd
'faiz' jis miTTī ne tartīb diyā thā mujh ko
ek din miTTī vahī paaT ga.ī merā vajūd
Top Urdushayar.com