baat ban jaa.e jo tafsīl se bāteñ kar le
tishnagī merī agar jhiil se bāteñ kar le
jahāñ ke gaañv se tārīkī nikal saktī hai
dil agar fikr kī qindīl se bāteñ kar le
tū ḳharīdār mire dil kī zamīñ kā hai Thahar
pahle dil ruuh kī tahsīl se bāteñ kar le
ka.aba-e-dil tujhe mahfūz agar rakhnā hai
jā ke ulfat kī abābīl se bāteñ kar le
sirf qur.āñ ke alāva hai bhalā kis kī majāl
jo ki taurāt se injīl se bāteñ kar le
vo suhūlat hameñ goggle ne farāham kī hai
pal meñ insān brazil se bāteñ kar le
āqibat apnī banānī hai agar 'faiz' tujhe
nafs kī uḌtī huī chiil se bāteñ kar le