na to ham bahr se vāqif na suḳhan jānte haiñ
kaise deñ lafzoñ ko tartīb ye fan jānte haiñ
vo kisī taur bhī tujh ko na lagā.eñge gale
ai ḳhushī jo bhī tirā chāl-chalan jānte haiñ
dil ke mandir meñ haiñ do ek pujārī aise
jo na puujā na ibādat na bhajan jānte haiñ
is liye thaam ke rakkhā hai junūñ kā dāman
ai ḳhirad ham tirā dīvāliya-pan jānte haiñ
jo mohabbat ke haiñ alfāz mire hoñToñ par
vo ta.assub kā tire chīr-haran jānte haiñ
paañv phailāte haiñ itnā ki hai jitnī chādar
apnī auqāt hai kyā ḳhuub apan jānte haiñ