ye aur baat ki tāḳhīr se alag karūñgā
magar tujhe tirī tasvīr se alag karūñgā
musāfirat se jo fursat huī nasīb to phir
thakan ko paañv kī zanjīr se alag karūñgā
jo mere dā.imī ehsās se juḌā hai sabaq
maiñ kis tarah use tahrīr se alag karūñgā
kuñvāre ḳhvāb hue jā rahe haiñ āvāra
unheñ maiñ lazzat-e-ta.abīr se alag karūñgā
utārnā hai mujhe ab anā ko maut ke ghaaT
so us ko lahja-e-shamshīr se alag karūñgā
mire badan meñ lagī hai jo hijr kī dīmak
maiñ us ko vasl kī tadbīr se alag karūñgā
rivāyatoñ se rakhūñgā maiñ 'faiz' rishta magar
suḳhan zarā sā taqī-'mīr' se alag karūñgā