Faiz Khalilabadi

yun pahunchna hai mujhe ruh ki tughyani tak

Faiz Khalilabadi

Sant Kabir Nagar, Uttar pradesh, India

1980
yuuñ pahuñchnā hai mujhe ruuh kī tuġhyānī tak
jis tarah rassī se jaatā hai ghaḌā paanī tak
kāTnī paḌtī hai nāḳhun se takan kī zanjīr
yuuñ hī aatī nahīñ mushkil koī āsānī tak
zindagī tujh se banā.e hue rishte kī havas
mujh ko le aa.ī hai duniyā kī pareshānī tak
aise jarrāhoñ kā qabza hai suḳhan par afsos
kar nahīñ sakte jo lafzoñ kī musalmānī tak
apne andar maiñ kiyā kartā huuñ raajā kī talāsh
is vasīle se pahuñchnā hai mujhe raanī tak
aise lafzoñ ko bhī be-aib banāyā ham ne
jin kī jaa.ez hī nahīñ hotī thī qurbānī tak
husn kā paañv dabātī hai jahāñ shoḳh havā
ishq le aayā hai mujh ko isī vīrānī tak
'faiz' ham log haiñ ik aisī kachehrī ke vakīl
faujdārī se pahuñchte haiñ jo dīvānī tak
Top Urdushayar.com