Faiz Khalilabadi

log kahte hain bahut humne kamai duniya

Faiz Khalilabadi

Sant Kabir Nagar, Uttar pradesh, India

1980
log kahte haiñ bahut ham ne kamā.ī duniyā
aaj tak merī samajh meñ nahīñ aa.ī duniyā
jab nazar nāma-e-a.amāl ke daftar pe paḌī
nekiyoñ par mujhe ubhrī nazar aa.ī duniyā
zāhirī āñkhoñ se dekho to dikhā.ī de pahāḌ
bātinī āñkhoñ se dekho to hai raa.ī duniyā
ye qadam tere ta.āqub meñ chale haiñ kitnā
ye batā.egī mirī ābla-pā.ī duniyā
jitne dukh-dard tahā.if meñ diye hai tū ne
le ke aa.egī azal sab kī davā.ī duniyā
'faiz' jo phirtī hai ḳhud ḳhāna-ba-doshoñ kī tarah
kyā karegī vo merī rāh-numā.ī duniyā
Top Urdushayar.com