paḌh rahe the vo lab-e-hūr hamārā qissa
yuuñ hī thoḌī huā mash.hūr hamārā qissa
sirf ik aib nikālā thā ġhalat-fahmī ne
ho gayā ham se bahut duur hamārā qissa
āgīñ yādeñ tirī haath meñ marham le kar
jab bhī banñe lagā nāsūr hamārā qissa
ham vo jugnūñ haiñ kisī vaqt kisī se sun kar
ro paḌī thī shab-e-dījūr hamārā qissa
ḳhāmushī ne unheñ hoñToñ pe kiyā apnā qayām
yaad jin jin ko thā bharpūr hamārā qissa
'faiz' jo peḌ lagāyā hai adab kā ham ne
jaarī rakhegā ba-dastūr hamārā qissa