dūriyoñ meñ qarābatoñ kā mazā
liije liije mohabbatoñ kā mazā
kuchh mazā bārishoñ kī shorish kā
kuchh Tapaktī huī chhatoñ kā mazā
ho ga.ī nā tabāh ḳhud-dārī
le liyā nā ri.āyatoñ kā mazā
ik muhājir hī jaan saktā hai
kaisā hotā hai hijratoñ kā mazā
dhuup jā-e-qarār sāyoñ kī
har bagūla masāfatoñ kā mazā
bhuuk aur pyaas zaat kī lazzat
fāqa-mastī qanā.atoñ kā mazā
jaise sajde meñ qatl ho koī
aisā hotā hai chāhatoñ kā mazā
maut hai zindagī kī kamzorī
jāñ-kanī apnī quvvatoñ kā mazā
ishq hotā hai tab hī jab 'mohsin'
muntaqil ho tabī.atoñ kā mazā