Mohsin Asrar

hum khaDe hain hath yun bandhe hue

Mohsin Asrar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948
ham khaḌe haiñ haath yuuñ bāñdhe hue
jaise tū ho rāsta roke hue
kis tarah tai ho safar tanhā.ī kā
duur tak haiñ aa.ine rakkhe hue
rāsta pagDanDiyoñ meñ baT gayā
ik musāfir ke ka.ī phere hue
log ruḳhsat ho chuke bāzār se
ham abhī tak haiñ dukāñ khole hue
saa.e meñ ā.indagī kā dukh nihāñ
dhuup meñ haiñ vāqiye likkhe hue
chāhtā huuñ tere sapne dekhnā
dekhtā huuñ hādse hote hue
tanhā apne sāmne baiThā huuñ maiñ
aur mere haath haiñ phaile hue
jal rahe haiñ apnī hī sochoñ se ham
apnī hī dahlīz meñ baiThe hue
ho ga.iiñ mujh ko sabhī bīmāriyāñ
dūsre bīmār tab achchhe hue
ghun to 'mohsin' jism ko lagnā hī thā
ek muddat ho ga.ī rakkhe ho.e
Top Urdushayar.com