Mohsin Asrar

guzar chuka hai zamana visal karne ka

Mohsin Asrar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948
guzar chukā hai zamāna visāl karne kā
ye koī vaqt hai tere kamāl karne kā
burā na maan jo pahlū badal rahā huuñ maiñ
mirā tarīqa hai ye arz-e-hāl karne kā
mujhe udaas na kar varna saakh TūTegī
nahīñ hai tajraba mujh ko malāl karne kā
talāsh kar mire andar vajūd ko apne
irāda chhoḌ mujhe pā.emāl karne kā
ye ham jo ishq meñ bīmār paḌte rahte haiñ
ye ik sabab hai ta.alluq bahāl karne kā
ajiib shaḳhs thā lauTā gayā mirā sab kuchh
muāvza na liyā dekh-bhāl karne kā
phir is ke ba.ad hamesha hī chup rahe 'mohsin'
ḳhirāj denā paḌā arz-e-hāl karne kā
Top Urdushayar.com