Mohsin Asrar

miTTi ho kar ishq kiya hai ek dariya ki rawani se

Mohsin Asrar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948
miTTī ho kar ishq kiyā hai ik dariyā kī ravānī se
dīvār-o-dar maañg rahā huuñ maiñ bhī bahte paanī se
be-ḳhabarī meñ hoñT diye kī lau ko chūmne vaale the
vo to achānak phuuT paḌī thī ḳhushbū raat kī raanī se
vo majbūrī maut hai jis meñ kaase ko buniyād mile
pyaas kī shiddat jab baḌhtī hai Dar lagtā hai paanī se
duniyā vāloñ ke mansūbe merī samajh meñ aa.e nahīñ
zinda rahnā siikh rahā huuñ ab ghar kī vīrānī se
jaise tere darvāze tak dastak dene pahuñche the
apne ghar bhī lauT ke aate ham itnī āsānī se
ham ko sab ma.alūm hai 'mohsin' haal pas-e-girdāb hai kyā
aañkh ne sachche gur sīkhe haiñ sūraj kī darbānī se
Top Urdushayar.com