Mohsin Asrar

jaanan gae dinon ka talluq bahaal kar

Mohsin Asrar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948
jānāñ ga.e dinoñ kā ta.alluq bahāl kar
ā.īna ban gayā huuñ mirī dekh-bhāl kar
apnī hī rahguzar ke bujhātā hai kyuuñ charāġh
har rāste se merā guzarnā muhāl kar
ik roz aisā ho ki charāġhoñ ke rū-ba-rū
kuchh meñ hunar karūñ koī tū bhī kamāl kar
tahvīl-e-intizār meñ kab tak rahegī aañkh
mere supurd merī nazar kā ma.aal kar
Dar hai kahīñ maiñ dasht kī jānib nikal na jā.ūñ
baiThā huuñ apne paañv meñ zanjīr Daal kar
'mohsin' bure dinoñ meñ nayā dost kaun ho
hai jis kā pahlā qarz usī se savāl kar
Top Urdushayar.com