der se so kar uThne vaalo taḌpo lekin shor na ho
tum ko haq hai ā.īnoñ ko toḌo lekin shor na ho
ham-sā.e kā sukh to us ke ḳhvāb kā puurā honā hai
tum par riqqat taarī ho to ro lo lekin shor na ho
shaam Dhale parvāz simaT kar shāḳhoñ par aa jaatī hai
apnī āñkheñ rāhguzar meñ rakkho lekin shor na ho
dīvāne bhī ahl-e-samā.at kī ḳhidmat kar sakte haiñ
dil hoñToñ par aa jaa.e to bolo lekin shor na ho
'mohsin' kis ko fursat hai jo tesha le kar aa.e yahāñ
apne but ko apne haath se toḌo lekin shor na ho