Mohsin Asrar

KHayal-o-KHwab ko paband-e-KHu-e-yar rakha

Mohsin Asrar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948
ḳhayāl-o-ḳhvāb ko pāband-e-ḳhū-e-yār rakhā
so dil ko dil kī jagah ham ne baar baar rakkhā
use bhī maiñ ne bahut ḳhud pe iḳhtiyār diye
aur is tarah ki bahut ḳhud pe iḳhtiyār rakhā
dukhoñ kā kyā hai mujhe fikr hai ki us ne kyuuñ
bichhaḌte vaqt bhī lahje ko ḳhush-gavār rakhā
havā charāġh bujhāne lagī to ham ne bhī
diye kī lau kī jagah terā intizār rakhā
chhupā ke rakh liye andar ke apne dukh 'mohsin'
aur apnī zāhirī hālat ko bhī sañvār rakhā
Top Urdushayar.com