Mohsin Asrar

jab wahime aawaz ki buniyaad se nikle

Mohsin Asrar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948
jab vāhime āvāz kī buniyād se nikle
ghabrā.e hue ham suḳhan-ābād se nikle
samtoñ kā ta.ayyun to sitāroñ se huā hai
lekin ye sitāre mirī fariyād se nikle
maiñ baiTh gayā ḳhaak pe tasvīr banāne
jo kibr the mujh meñ vo tirī yaad se nikle
ḳhud ko maiñ bhalā zer-e-zamīñ kaise dabātā
jitne bhī khañDar nikle vo ābād se nikle
dil pahuñchā achānak hī tayaqqun kī fazā tak
sab vahm-o-gumāñ ishq kī asnād se nikle
maiñ dars use ab koī detā bhī to kaise
pahle se use saare sabaq yaad se nikle
Top Urdushayar.com