Mohsin Asrar

sar uThaya ishq ne to choT ek bhaari paDi

Mohsin Asrar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948
sar uThāyā ishq ne to choT ik bhārī paḌī
jā ke is ke paaoñ 'mohsin' apnī ḳhuddārī paḌī
ab jo dekhā donoñ hī nā-qābil-e-tafsīr the
raat ke jaage huoñ par raushnī bhārī paḌī
chāhne vāloñ ko hī honā paḌā hai sañgsār
zinda rahne vāloñ par hī zindagī bhārī paḌī
mere dukh ko ek hī pahlū kī lazzat thī aziiz
ab jo karvaT lī to mujh pe aa ke bedārī paḌī
vo samundar vo havā.eñ vo tazabzub aur vo aañkh
jaan se jaane ga.e the aur gale yaarī paḌī
āshnā hone se pahle ajnabī-pan khā gayā
ghar se pahle rāste meñ ghar kī rahdārī paḌī
in dinoñ shāyad maiñ apnī dastaras se duur huuñ
aaj to us kī nazar dil par mire kaarī paḌī
Top Urdushayar.com