Mohsin Asrar

hum apne zehn par pahle use tari karenge

Mohsin Asrar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948
ham apne zehn par pahle use taarī kareñge
phir is ke ba.ad apne qalb ko jaarī kareñge
ham apne zāhir o bātin kā andāza lagā leñ
phir us ke sāmne jaane kī tayyārī kareñge
mohabbat ham se us ko ho ga.ī to Thiik varna
ham apnī saakh rakhne ko adākārī kareñge
ab aisī muflisī meñ kyā kahīñ ho ānā-jānā
magar kab tak ham us se uzr-e-bīmārī kareñge
mire kis kaam ke haiñ ab ye kavve aur kabūtar
abas barbād ghar kī chār-dīvārī kareñge
bahut achchhā tirī qurbat meñ guzrā aaj kā din
bas ab ghar jā.eñge aur kal kī tayyārī kareñge
yahāñ ab log 'mohsin' zindagī karte kahāñ haiñ
zarā se dukh meñ ro.eñge azā-dārī kareñge
Top Urdushayar.com