Mohsin Asrar

satata wo agar fitrat se haT ke

Mohsin Asrar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948
satātā vo agar fitrat se haT ke
to patthar mārtā maiñ bhī palaT ke
jo maiñ ne intizār-e-yār khīñchā
mirā ghar ban ga.ī duniyā simaT ke
bahut kuchh hai nafas kī anjuman meñ
magar maiñ jī rahā huuñ sab se haT ke
maiñ un ḳhāmoshiyoñ meñ rah rahā huuñ
jahāñ aatī haiñ āvāzeñ palaT ke
diye kī lau zarā jo Dagmagā.ī
zamīñ par āsmāñ aayā jhapaT ke
ye sach hai maiñ vahī huuñ tū vahī hai
magar ab saañs le kuchh duur haT ke
guzārā din mashaqqat karte karte
guzārī raat patthar se lipaT ke
tire baare meñ soche jā rahā huuñ
magar ab lag rahe haiñ dil ko jhaTke
Top Urdushayar.com